Benifits of papaya

Aj main ap ko papaya ki khasusiyat btaoo ga. Duniya main bohat say phal ayse hain jin main bohat zayada gazaiyat hai or bohat ziayada vitamin bhe paye jatye hai. Or in main say aik cheez papaya hai is ko urdu main (papita) bhe kaha jata hai or ye aik amm milney wala fruit hai jo duniya kay kisi bhe cony sey mil jata hai or ye humari country main bohat amm hai. Papaya ka podha koi darkht nahe balkay aik overgrown herb hai jo kay jeri booti ki tarha hai. Is herb ko scientifically Herbaceous Perennial kaha jata hai. Ye ziyada ter tropical Places (Elakon) main paye jatay hai. Central America or jis main khas tor per Mexico ko is mazye dar fruit ki paidaishi jaga(Birth Place) kaha jata hai. Papaya main bohat say nutrition paye jatay hai or is ka sub saye fidemand cheez hasma hai (digestion).  Papaya main kuch aisy minerals or chemical or vitamin hai jin ko papain kaha jata hai ye proteins ko torny or saf karny kay kam karty hai or ye bohat fidaymand cheez. Papaya bohat he faidaymand cheez un kay liye bhe hai jo apna wazan kam karna chahtay hai (weight lose). To shuru kary ye Qudarti Cheez or apny wazan ko kam karny.
Papaya main bohat say nutrition paye jaty hai is main sub say bhari tadad folate, vitamin C and potassium hain. Or baki minerals ya phir vitamins jo papaya main paye jaty hain wo lycopene, vitamin A, carotenoids lutein jo kay ankhoon kay liye bohat zaroori hai, vitamin E or zeaxanthin. Papaya (papita) ko kisi or fruit say milay to pata chalta hai kay ye Qudrat ki aik shandar cheez hai jo insano ko aik namat kay tor per mili hai. Is ko istemal karny ka bhe tareeka ap ko btaye chalye

1) Ap rozana (daily) 2 cup jitna papaya (papita) khaiy.
2) Ap is ko salad kay sath istemal kary Daily basis per.
3) Ap is ko blend (grand) kar kay sauces ki jaga istemal kar sktay hai.
4) Ap is ko Salsa kay tor per bhe istemal kar sktay hai.

0 comments:

Post a Comment