Aj say 2000 saal pehlay Aztec or Mayan wo cultures hain jino naye Cacao beans ko dariyaft (Discoverd) kiya. Ye wo zariya hai jis say hum itni yummy or mazydar chocolates bnaty or kahatay hai. Cacao kay podhay gram tareen elakay (hot places) per perwerish paty hai yani grow karty hai. Ye podha aik shaday podha hai or ye aksar ap ko coconut kay darkaht kay saye yani uskay neechay mily ga.Or ye bohat si kismon kay darkhat kay neechey (saye kay neechey) mily ga yan lemon, banana kay drakhat kay neechey. Is kay phool jub nikaltay hai to wo directly is kay tanay (trunk) say nikalty hain. Or is kay phool ka rang (color) adha safaid (white) hota hai. Is ka phool cucumber (kheery) say milta julta hai. Or jo dany (beans) podhay say hasil hotey hain wo fermented, roasted kar kay is ko drink ki shakal (shape) daitay hain or pirh is ko specially royals (Emperior) kay samnay paish kiya jata tha. Columbus nay ye spain ko bhe daiye jub wo america ka last trip per tha. Ye recipe bohat salon tak aik secret (Raaz) Ban kar rahe akhir kar secret ahista ahista khul he gaya or poori duniya main phail gaya.
Phir 1800 main is chocolates ko solid form main yan is ko aik shakal di ye kam 1800 san main shuru hua. Or aj kal ki mashur chocolate Cadbury
chocolate originaly aik English Doctor nay bnai jis ka name hai Sir Hans Sloane. Chocolates india main japanese nay mutarif karwai (introduced). Sub say bhari chocolate bar Austria main aik Chocolate Festival main banai gai jis ki paymaish ye hai 5m*2m is ka size or is ka wazan (weight) 2000 kgs tha.Phir 1800 main is chocolates ko solid form main yan is ko aik shakal di ye kam 1800 san main shuru hua. Or aj kal ki mashur chocolate Cadbury
Chocolate say ap ka mood acha ho jata hai. Is ko khanay kay baad insan acha mahsoos karta hai or ye khansi ko bhe door karti hai. Chocolate ka itna ziyada istemal dental problem (danton ki takleef) ka bais banta hai is kay sugar content (shakar) ki waja say. Is ko istemal kary or poori care kary.
0 comments:
Post a Comment